Sunday, June 14, 2009

unknown

tark-e-mohbbat apni khata ho aisa bhi ho sakta hai
woh ab bhi paband-e-waffa ho aisa bhi ho sakta hai
darwaze par aahat sunkar usski taraf kyun dhyan gaya
aane waali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai
haal-e-pareshan sun kar mera aankh mein usski ansoo hain
maine usse jhooth kaha ho aisa bhi ho sakta hai
arz-e-talab par usski chup se zahir hai inkaar magar
shayad woh kuch soch raha ho aisa bhi ho sakta hai
khuun-e-tamnna karna usska sheva hai manzuur magar
kaath mein usske rang-e-hina ho aisa bhi so sakta hai ~!!

No comments:

Post a Comment

wel come