Sunday, June 14, 2009

unknown

main wo lau hun jo shama ke saath hi jal jaunga
jab dhalegi sham main ban kar dhuan udd jaunga
ronaq-e-mehfil rahunga jab talak jalta hun main
main bujha toh saath apne roshani le jaunga
mere daman mein andhere hain mager ae karvan
saath rakhoge mujhe main pasbaan ban jaunga
na safar mein hun koi na aas manzil ki mujhe
ek hi kuche mein jalta hun vahin mit jaunga
kitne parwane jale gham mein mere mil kar gale
nasamajh thay ye na samjhe main toh jalta jaunga
waqat badleyga naaye mehfil naaye honge sukhan
sab badal jaayega lekin main vo hi reh jaunga
zindagi meri faqat itni si hai iss dehar main
raakh hi hogi jab bhi lau main khaak mein mil jaunga

No comments:

Post a Comment

wel come