Friday, July 3, 2009

aakhri bar milo aise keh jalte huye dil

aakhri bar milo aise keh jalte huye dil
rakh ho jaayen koi aur taqaza na karen
chaak-e-vaada na sile, zakhm-e-tamnna na khule
saans hamwar rahe, shamma ki lau tak na hile
baatein bas itni ke lamhe unhen aa kar gin jaayen
ankh uthaye koi ummed toh aankhen chin jaayen
uss mulaqat ka ab koi veham nahin
jis se ek aur mulaqat ki surat nikle
ab nahin jaanan junoon ka na hukayat ka waqt
ab na tajdeed-e-waffa ka na shikayat ka waqt
luut gaye shehr-e-hawadis mein mata-e-alfaaz
ab jo kehna hai toh kaise koi noha kahe
aaj tak tum se rag-e-jaan ke kai rishte thay
kal se jo hoga usse kaun sa rishta kahe
phir na dekhein aarz-o-rukhsaar milo
matami hai dam-e-rukhsat, dar-o-dewaar milo
phir na hum hon, na iqraar na inkaar milo
aakhri baar milo, aakhri baar milo

No comments:

Post a Comment

wel come