Friday, July 3, 2009

meri tehreer ki zad main abhi toh kuch nahi aaya

mujhe jo kuch bhi kehna tha abhi main keh nahi paya
meri tehreer ki zad main abhi toh kuch nahin aaya
abhi vo qarb likhna hai jise mehsoos karta hoon
abhi vo khwab likhne hain jo ankhon mein palte hain
mujhe unnko bhi likhna hai jinhen main dhoondh na paaya
abhi vo log likhne hain jo kho kar haath malte hain
abhi vo ashq likhna hai kabhi jo beh nahi paaya
meri tehreer ki zad main abhi bhi kuch nahi aaya
abhi toh mausmon ki shokhyian tehreer karni hain
abhi yo phool kaliyan aur sehe-e-shabnam bhi likhni hai
uthaane hain abhi dariya se mujhko payas ke pehre
abhi toh khushk pedon pe mujhe rim jhim bhi likhni hai
kahin pe dhoop likhni hai kahin pe teergi chaya
meri tehreer ki zad main abhi toh kuch nahi aaya
abhi toh mujhko likhni hai kisi ki reshmi zulfein
kisi ki surmagii palkein kisi ki ankh ka kajal
kisi ka toot'ta badal kisi ke pyar ki qasam
kiski ki ankahi baatein macha dein dil mein jo hulchul
abhi woh ssb likhna hai jo mera ishq kehlaya
meri tehreer ki zad main abhi toh kuch nahi aaya
abhi toh vo safar likhna hai jo darpesh hai mujhko
abhi toh tumko apni pyas ka sehra dikhana hai
abhi toh hizr ki likhni hain sari matmi raatein
abhi toh aise lamhon ka bhi tumko lutf sunana hai
keh jinse ashq aankhon mein, magar iss dil ko behlaya
meri tehreer ki zad main abhi toh kuch nahi aaya

No comments:

Post a Comment

wel come