Friday, July 24, 2009

abhi intzaar baaqi hai


kisi ke dil mein tera aitbaar baaqi hai
chala bhi aa ke abhi intzaar baaqi hai
khazan se keh do abhi gulistan se duur rahe
abhi toh aamad-e-jashn-e-bahaar baaqi hai
jo ho sake toh kabhi laut kar chale aana
mera makan hai salamat dayaar baaqi hai
zamana beet gaya hai sharab-e-deed piye
yeh aur baat abhi tak khumar baaqi hai
woh khud ko auron se kamtar samjhte rehte hain
bohat se logon mein yeh inkesaar baaqi hai
main nakhuda ke sahare rahon arre tauba !
abhi khuda pe mera aitbaar baaqi hai
issi sahare toh zinda hai 'sada' ab tak
keh usske dil mein tamanna-e-yaar baaqi hai

No comments:

Post a Comment

wel come