Friday, July 24, 2009

kahin kuch kami rahi


lehja gulab sa na zubaan shabnami rahi
baqi rahi toh sirf teri barhami rahi
aaiina-e-waffa pe raha ik gubaar sa
ik gard-e-bewafai jami ki jami rahi
waise toh zindgi ne mujhe kya nahin diya
phir bhi yeh lag raha hai kahin kuch kami rahi
kab ka safar tamaam hua dosto magar
ek dhool thi jo rukh pe jami ki jami rahi
phir chod dena saath bas itna bata mujhe
meri mohbbaton mein kahan kya kami rahi
wallah ashq-e-gham ne bada kaam kar diya
dil ki zamiin-e-khusk mein kuch toh nami rahi
ae 'raz' woh shaks badalta hai ruut ke saath
usski waffa sada se yunhi mausami rahi

No comments:

Post a Comment

wel come