Saturday, July 4, 2009

afsos khud ko khud pe numaayan na kar sake

afsos khud ko khud pe numaayan na kar sake
ham zindagi ko saaheb-e-eemaan na kar sake !
raah-e-talab mein kaar-e-numaayan nah kar sake
ashq-e-junoon ko aa,eenah-saaman na kar sake !
woh ishq kya jo dard ka darmaan na kar sake ?
woh dard kya jo ishq ko aasan na kar sake ?
har lamha-e-hayaat hisaab apna le gayaa
ham zindgi mein phir koi armaan na kar sake
daaman-e-aarzu ki darazi toh dekhiye
khud se bhi zikr-e-tangi-e-daaman na kar sake
yun mubtila-e-kufr-e-tamanna rahe ke ham
chaha hazaar, dil ko musalmaan na kar sake !
kyon mujhse lag hai tujhe ae shoorish-e-hayaat ?
woh kaam kar jo gardish-e-dauraan nah kar sake !
itni toh ho majaal ke Khud ko samet len
kya gham jo ham talaafi-e-hijran na kar sake ?
iss darjah fikr-e-shehr-e-nigaaran mein guum rahe
ham Khud hi apni zaat ka irfaan nah kar sake
sarwar chalo hai mai-kada-e-ishq saamne
muddat huyi ziyaarat-e-insan nah kar sake !

No comments:

Post a Comment

wel come