Saturday, July 4, 2009

mujhe zindgi pe apni agar ikhtiyaar hota

mujhe zindgi pe apni agar ikhtiyaar hota
toh main raah-e-aarzu mein yun kharab-o-khwaar hota ?
tujhe mera, mujhko tera agar aitbaar hota
na tu sharmsar karta, na main sharmsar hota !
kiya tune ye ghzab kiya, diya khol raaz-e-hasti ?
na main aashkar hota, na tu aashkar hota !
gham-e-aarzu mein jaan par meri yyn agar na banti
koi aur tera saathi, dil-e-beqarar ! hota ?
sar-e-bazm meri jaanib jo tu uthti gaahe gaahe
mujhe tujhse shikwa phir kyon ae nigaah-e-yaar ! hota ?
na main tujh se aashna hun, na hi khud se ba-khabar hun
ye maze kahan se milte agar hoshiyar hota ?
meri fikr dil-kusha hai, meri baat be-riyaa hai
tujhe phir bhi ye gila hai, main waffa-shi,a'ar hota !
hai Khata ye ishq lekin, yeh gunah toh nahin hai !
main khata se tauba karta toh gunahgar hota !
gham-e-aashiqi hua hai gham-e-zindgi mein shaamil
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota !
teri ik ghazal bhi ‘sarwar’ kisi kaam ki jo hoti
toh zaroor shairon mein tera bhi shumaar hota !

No comments:

Post a Comment

wel come