Thursday, July 23, 2009

aisi tariqi hai

aisi tariqi hai, mera dil bohat ghabraye hai
khwab dekhon kis tarah main, aankh khul-khul jaaye hai
soa raha hai shehr sanaaton ki chaadar audh kar
meri yeh aawaz dar-dar jaaye hai, pachtaye hai
aa rahe hain chand saaye dhoondh ke uss par se
dekhna hai, kaun meri uljhane suljhaye hai
aaj ka din haan koi achcha nahin taslim hai
aane wala din bohat behtar hai, meri raaye hai

No comments:

Post a Comment

wel come