Thursday, July 23, 2009

ye chahti hai hawa

ye chahti hai hawa ussko aazmaoon na main
koi chirag kahin bhi, kabhi jalaaon na main
sukoot-saaya rahe iss zamiin par har dam
koi sada, koi fariyaad lab pe laaon na main
yunhi bhatkta rahun umr bhar udas-udas
surag bichade huon ka kahin bhi paaon na main
safar ye mera ksisi taur mukhtsar ho jaaye
vo mod aaye ki jii chahe aage jaaon na main
bhula toh doon tere kehne pe tujhko dil se main
magar ye shart hai tujhko bhi yaad aaon na main

No comments:

Post a Comment

wel come