Wednesday, July 8, 2009

asrar ansari ki shayyiri

hamen toh ab bhi vo guzra zamana yaad aata hai
tumhen bhi kya kabhi koi diwana yaad aata hai
havaayen tez thi baarish bhi thi tufan bhi tha lekin
tera aise mein bhi vaada nibhana yaad aata hai
guzar chuki thi bahut raat baaton baato. mein
phir uth ke vo tera shamma bujhana yaad aata hai
ghataayen kitni dekhi hain par mujhe 'asrar'
kisi ka rukh par vo zulfen girana yaad aata hai

No comments:

Post a Comment

wel come