Wednesday, July 8, 2009

asrar ansari ki shayyiri

kachchi diwar hun thokar na lagana mujhko
apni nazaron mein basa kar na girana mujhko
tum ko aankhon mein tasavvur ki tarah rakhta hun
dil mein dhadakan ki tarah tum bhi basana mujhko
baat karne mein jo mushkil ho tumhen mehfil mein
main samajh jaaunga nazaron se batana mujhko
vaada utna hi karo jitna nibha sakte ho
khwab poora jo na ho vo na dikhana mujhko
apne rishte ki nazakat ka bharam rakh lena
main toh aashiq hun diwana na banana mujhko

No comments:

Post a Comment

wel come