Thursday, July 9, 2009

athar nafees ki shayyiri

sochte aur jaagte saanson ka ik dariya hun main
apne gum_gashta[lost] kinaaron ke liye behta hun main
jal gaya saaraa badan inn mausamon ki aag mein
ek mausam ruuh ka hai jis mein ab zinda hun main
mere honton ka tabassum de gaya dhokha tujhe
tuune mujhko baag jaana dekh le sehara hun main
dekhiye meri paziraaii [acceptance] ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko waqt ki dehaleez par aaya hun main

No comments:

Post a Comment

wel come