Thursday, July 9, 2009

athar nafees ki shayyiri

lamhon ke aazab sah raha hun
main apne wajuud ki saza hun
zakhmon ke gulaab khil rahe hain
khushbu ke hujuum mein khada hun
iss dasht-e-talab mein ik main bhi
sadiyon ki thaki hui sada hun
benaam-o-numuud zindagi ka
ik bojha uthaaye phir raha hun
ik aisa chaman hai jis ki khushbu
saanson mein basaaye phir raha hun
ik aisi zamin hai jis ko chhu kar
takadiis-e-haram se aashna hun
aai mujhko fareb dene waale
main tujh par yaqiin kar chuka hun
main tere qariib aate aate
kuch aur bhi duur ho gaya hun

No comments:

Post a Comment

wel come