Thursday, July 9, 2009

athar nafees ki shayyiri

itane dinon ke baad tu aayaa hai aaj
sochta hun kis tarah tujhse milun
mere andar jaag uthi ik chandani
main zamiin se aasaman tak ek ang hun
aur ujala ho gaya qurbat[nearness] ka chand
aur gehra ho gaya tera fusoon[magic]
ae sarapa rang-o-nikahat tu bata
kis dhanak se tera pairahan bunun
saare gul_buute tar-o-taaza huye
duur tak pahunchi hai meri mauj-e-khuun
kar rahe hain lamhe lamhe ka hisaab
mil ke phir baithe hain yaaraan-e-junoon
dasht-e-gham ki dhuup mein mujh par khula
main khud apna saaya-e-diwaar hun
naaz kar Khud par ki tu hai beshumaar
qadr kar meri ki main bas ek hun

No comments:

Post a Comment

wel come