Thursday, July 9, 2009

ataullah khan isakhelvi ki shayyiri

achchha sila diya tuune mere pyaar ka
yaar ne hi luut liya ghar yaar ka
ashkon ki maala mere gale pehana ke
khush hai vo ghar kisi aur ka basa ke
kar diya khuun dekho mere aitbaar ka

aaj tere pyaar men zahar vo khaaye hain
ashkon ke moti terii yaad mein bahaaye hain
tuune kabhi sunaa nahin dard meri pukaar ka

mere pyaar wale sabhi phuul murjha gaye
kaante thay jo vahan mere hisse aa gaye
raas na aaya mujhe sapna bahaar ka

No comments:

Post a Comment

wel come