Thursday, July 9, 2009

baazuddin baaz ki shayyiri

mujrim hun tera aa mujhe jo chahe saza de
iss dil mein muhabbat ki sanam aag laga de
jazbaat ka dil mein koi tufan utha ke
kehte hain jise pyaar zamane ko dikha de
duniya se kabhi pyaar ka shikwa na karunga
le haath mein khanjar meri gardan ko udda de
inn mast nigahon se sar-e-sham pila kar
diwane ko kuch aur hi diwana bana de
ab pyaar ki iss raah se kaanton ko hata kar
dushman ko jalane ke liye phuul bichha de
ab husn-e-tajalli se jale 'baaz' hai tera
rukhsar pe apne zara parde ko gira de


No comments:

Post a Comment

wel come