Thursday, July 9, 2009

aziz kashmiri ki shayyiri

tum aankhon se duur ho hui niind aankhon se duur
mere saathi gham ki chot se hua dil ka shiisha chuur
mujhe shikwa hai taqadeer se nahin tumse koi gila
mujhe la kar yun pardes mein mera sab kuch chhiin liya
meri aankhon mein aansu aa base hun rone par majbuur
mere zakhm huye pardesiya aa ris-ris ke nasuur
mujhe rogi karke pyar ka diya gham ka rog laga
mere jalte huye charag ko meri qismat gayi bujha
mujhe dhoka diya nasiib ne nahin mera koi kasoor

No comments:

Post a Comment

wel come