Thursday, July 9, 2009

aziz qaisi ki shayyiri

har shaam jalte jismon ka gaadha dhuan hai shahr
mar-ghat kahan hai koi bataao kahan hai shahr
phutapaath par jo laash padi hai ussi ki hai
jis gaanv ko yaqiin tha ki rozi-rasan hai shahr
mar jaaiye toh naam-o-nasab puuchhta nahin
murdon ke silsile mein bahut meharban hai shahr
reh reh ke chiikh uth’te hain sannate raat ko
jangal chhupe huye hain vahin par jahan hai shahr
bhuchal aate rahte hain aur tuut’taa nahin
ham jaise muflison ki tarah sakht-jaan hai shahr
latka hua tren ke dibbon mein subah-o-shaam
lagta hai apni maut ke munh mein ravan hai shahr

No comments:

Post a Comment

wel come