uljhaav ka maza bhi teri baat hi mein tha
tera jawab tere sawalat hi mein tha
saaya kisi yaqiin ka bhi jis par na pad saka
vo ghar bhi shahr-e-dil ke muzafat[near by] hi mein tha
ilzam kya hai ye bhi na jaana tamaam umar
mulzim tamaam umar havalat hi mein tha
ab toh faqat badan ki muravvat hai daramiyan
tha rabt jaan-o-dil ka toh shuruat hi mein tha
mujhko toh qatl kar ke manata raha hai jashn
vo ziilihaaz[worthy of attention/respect(liihaaz ke qaabil)] shaks meri zaat[existence] hi mein tha
No comments:
Post a Comment