Thursday, July 9, 2009

aziz warsi ki shayyiri

yahan se ab kahin le chal khayal-e-yaar mujhe
chaman mein raas na aayegi ye bahaar mujhe
teri latiif nigaahon ki khaas jumbish ne
bana diya teri fitarat ka raazdar mujhe
meri hayaat ka anjaam aur kuch hota
jo aap kehte kabhi apna jaan-nisaar mujhe
badal diya hai nigaahon ne rukh zamane ka
kabhi raha hai zamaane pe ikhtiyaar mujhe
ye hadsaat jo hain iztaraab ka paigam
ye hadsaat hi aayenge saazgaar mujhe
'aziz' ahal-e-chaman ki shikayat besud
fareb de gayiirangiini-e-bahaar mujhe

No comments:

Post a Comment

wel come