Monday, July 20, 2009

baat rozara hi hoti hai khuda se meri

baat rozara hi hoti hai khuda se meri
lekin iss daur mein kya hoga dua se meri !

kaun badlega, ab iss umar mein andaz-e-bayan !
vo bigadte hain, bigad jaayen bala se meri
tera pindare-inayat[ehsan karne ka ghumand] hi banaye rakh le
aur kuch ho ki na ho chahe waffa se meri

innko behlaate guzar jayegi baqi shab bhi
jag utthe hain kai khwab sada se meri
ye na socho ki mujhe chiin ke pa loge kabhi
waise jab chaho toh le jao raza[marzi] se meri
apne akhlaaq[shaliinta] ka dava bhi nahin chodega
mera munsif hai pasheman[lazzit] saza se meri
vo jo samjha na kabhi meri waffaon ka khaluus
vo bhi bazaar hai kis darja zaffa se meri
sar barhana[nanga] hai kabhi, paanv kabhi hain baahar yun ki donon ko shikiyat hai rida[chaadar] se meri
kyun mujhe chain se jeene nahin deti aakhir
koi toh puuche ‘khayal’ ab ye anaa se meri







No comments:

Post a Comment

wel come