Monday, July 20, 2009

hum do saathi bachpan ke

hum do saathi bachpan ke
dekho ho gaye pachpan ke
jhule padh gaye sawan ke
ghar jaana hai saajan ke
baatein saari rahbhar – si
lach’chhan saare rahzan ke
chaaku ko dhamkaye hai
tevar dekho makhan ke !
rajbhawan tak pohnchenge
taskar jo hain chandan ke !
gangaji dho dhalengi
saare paap barhamn ke
shaq na kisi ko hone de
khabarein phila aan-ban ke
khisiyaye thay mukhade par
tukde-tukde darpan ke !
shehron-shehron dhole hain
phir veopaari london ke
halqe hon ke tehalke hon
avguun giize aauranke
koi ‘khayal’ ko puuche hai
bin padvi bin aasan ke !

No comments:

Post a Comment

wel come