Monday, July 20, 2009

dil-o-nigah mein jab bandgi nahin hoti

dil-o-nigah mein jab bandgi nahin hoti
chirage-tuur se bhi raushni nahin hoti
jis aadmi ne sahi darse-sabr seekh liya
usse kabhi kisi shai ki kami nahin hoti
labon pe payas hi likhi thi jab muqaddar mein
sharab hoti toh kya tishnagi nahin hoti !
judai itni taveel[lambhi] aur wasl lamhon ka
ki ab milen bhi toh darr se khushi nahin hoti
zamiir aap hi insan ko jo deta hai

saza gunah ki uss se bada nahin hoti
‘khayal’ tumse agar duur ho gaye hote
kisi bhi kaam ki ye zindgi nahin hoti


No comments:

Post a Comment

wel come