Monday, July 20, 2009

duniya ko hum kyun batlayein

duniya ko hum kyun batlayein kaise aksar rote hain
zabton-tabssum ke parde mein andar-andar rote hain
gaiir mein itni taab kahan thi chaak hamara dil hota !
kya batlayen kyun hum dil ke daag chhup kar rote hain
danishmandon ko duniya mein ye rahat bhi kahan mumkin
diwane hi achche hain jo khul ke jii-bhar rote hain
hum rindon ki duniya hain jo khul ke ji-bhar rote hain
hum rindon ki duniya mein jitni khushiyan, utne aansu
meena-meena hanste hain toh sagar-sagar rote hain
aaiine ko yun chamkaya, har chehra benaam hua
ab apni pehchan mita kar aaiinagar rote hain
khawaja tune kya na diya ab kaun-si khwahish hai baqi
aur khayal ki phir bhi aksar tere dar par rote hain


No comments:

Post a Comment

wel come