Monday, July 20, 2009

ab kabhi uss se na milne ki qasam kya khaaon

ab kabhi uss se na milne ki qasam kya khaaon
phir mulaqat ki jab koi tawaqo hi nahin
hum mile bhi toh mile phir se bichadne ke liye
saath hote huye uss waqt bhi yeh rona tha
tha ye mallum ki khwabon ke safar ka apne
aakhir anjaam baharhaal yahi hona tha
meri duniya thi allagh, usski duniya apni
javiya jo bji ho, beza thi tamanna apni
apne hathon ki lakeeron ko badalte kaise
apne pairon se zamiron ko kuchalne kaise
humne samjhaya bohat dil ko ki ye hai sapna
phir bhi aasan kahan hota ragon ka katna
itne din baad bhi hai dil mein vo nashtar ab tak
meri aankhon mein pighalta hai vo manjar ab tak
uff, vo jate huye munh pher ke rona usska
ru-ba-ru ta-dame-aakhir bhi na hona usska
‘phir milenge’ pe zaban agle janam ki dena
aur ab laut na jaane ki qasam bhi dena
phir mulaqat ki ab koi tawaqqo hi nahin
main khayal uss se na milne ki qasam kya khaoon

No comments:

Post a Comment

wel come