Monday, July 20, 2009

aap hi batlaiye

kaun ai ahle-samaa’at[sun’ne ki shakti rakhne wala] ! aap hi batlaiye
kis se ki jaaye shikyat, aap hi batlaiye
dil ko anzaame-muhbbat, aap hi batlaiye
dosti ho ya adavat, aap hi batlaiye
aman ki ab koi surat, aap hi batlaiye
kuch shara’iet[shart] nek_niyat, aap hi batlaiye
dekhne-suane se fursat hai kisi ko shehr mein
koi padhta hai ibarat, aap hi batlaiye
haath aa jaaye koi shai muft toh choden nahin par sabhi ko zaome-niyat[nek-niyat ka ghumand], aap hi batlaiye !
mera chehra bhi dekhaye aaiine ki maarfat
kya karoon aisi basaarat, aap hi batlaiye !
har kaso-naqas [achche-bure admi] ke lab par hai meri tankeed[alochana] phir
aap ne kyun ki ye zehmat, aap hi batlaiye !
saamne aayen na aayen, dijiye kuch toh pata
koi tarqibe-ibadat, aap hi batlaiye
baad marne ke mile shayad, miyan, ta_zindgi
kisko milti hai faragat, aap hi batlaiye
ibtida mein zurm shayad, inteha par zulm hai
aur kya kuch hai mohbbat, aap hi batlaiye
phir mukhatib hun ussi se jo nahin sunta meri
aur kiski ho ibadat, aap hi batlaiye
tazurba shab_khuun hi ka hai, na saazish ka hunar
ho chuki innse siyasat ! aap hi batlaiye !
nazar jaan-o-tan kiye, par khush kahan hai aadmi kya kare ab aur aurat aap hi batlaiye !
ek hum hi toh na thay tanha talabgaare-waffa
kiske ghar jaati mohbbat, aap hi batlaiye
kyun waffa ki shart rakh kar, ki waffa humne ‘khayal’ kya muhbbat thi tizarat, aap hi batlaiye

No comments:

Post a Comment

wel come