Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

sisakte aab mein kis ki sada hai
koi dariya ki tah mein ro raha hai
savere meri inn aankhon ne dekha
khuda charo taraf bikhra hua hai
sameto aur seene mein chhupaalo
ye sannata bahut phaila hua hai
pak gehun ki khushbu cheekhti hai
badan apna sunehara ho chala hai
haqiiqat surkh machhali janti hai
samandar kaisa buudha devta hai
hamari shaakh ka nau-khez patta
hawa ke hont aksar chumata hai
mujhe unn neeli aankhon ne bataya
tumhara naam paani par likha hai

No comments:

Post a Comment

wel come