Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

kis ne mujhko sada dii bata kaun hai
ae hawa tere ghar mein chhupa kaun hai
baarishon mein kisi ped ko dekhna
shaal odhe huye bhiigta kaun hai
main yahan dhuup mein tap raha hun magar
vo pasiine mein duuba kaun hai
asamaanon ko hamne bataya nahin
duubti shaam mein duubta kaun hai
khushbuon mein nahaayi huyi shaakh par
phuul sa muskurata hua kaun hai
dil ko patthar huye ik zamana hua
ham makan mein magar bolta kaun hai

No comments:

Post a Comment

wel come