Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

koi kaanta chubha nahin hota
dil agar phuul sa nahin hota
kuch toh majbuuriyan rahi hongi
yun koi bewaffa nahin hota
guftgu unnse roz hoti hai
muddaton saamna nahin hota
jii bahut chahta sach bolen
kya karen hausala nahin hota
raat ka intazaar kaun kare
aaj kal din mein kya nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come