Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

yun hi besabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
vo gazal ki sachchi kitaab hai, usse chupke chupke padha karo
koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se
ye naye mizaaj ka shahr hai, zara faasale se mila karo
abhi raah mein kai mod hain, koi aayega koi jaayega
tumhen jisne dil se bhula diya usse bhulne ki dua karo
mujhe ishtahaar si lagti hain, ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin vo suna karo, jo suna nahin vo kaha karo
kabhi husn-e-pardanashin bhi ho zara aashiqana libas mein
jo main ban-sanvar ke kahin chalun, mere saath tum bhi chala karo
ye khiza ki zard-si sham mein, jo udas ped ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, isse aansuon se hara karo
nahin behijaab vo chaand sa ki nazar ka koi asar nahin
usse tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo

1 comment:

  1. hindi men kar do naa.........sabko mazaa aa jaaye.....tumhen bhi sach.............!!!!

    ReplyDelete

wel come