Monday, July 13, 2009

bismil allahabadi ki shayyiri

sarfaroshi ki tamnnaa ab hamaare dil mein hai
dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
karta nahin kyon dusra kuch baat-cheet
dekhta hun main jise vo chup teri mehfil mein hai
ae shahid-e-mulk-o-millat main tere opar nisar
ab teri himmat ka charcha gaiir ki mehfil mein hai
waqt aane de bata denge tujhe ae asmaan
ham abhi se kya bataayen kya hamare dil mein hai
khiinch kar laayi hain sab ko qatl hone ki ummiid
aashiqon kaaaaj jamghat kucha-e-qaatil mein hai


No comments:

Post a Comment

wel come