Monday, July 13, 2009

brij narain chakbast ki shayyiri

dard-e-dil paas-e-waffa jazba-e-imaan hona
adamiyat yahi hai aur yahi insan hoa
nau-giraftar-e-bala[prisoner of sorrow] tarz-e-fugan kya jaanen
koi nashaad sikha de inhen naalan[one who laments] hona
reh ke duniya mein yun tark-e-havas[give up desire] ki koshish
jis tarah apne hi saaye se gurezan hona
zindgi kya hai anaasir[the five elemets] mein zahuur[manifestation]]e-tartiib[orderly]
maut kya hai inhiin ijza ka pareshan hona
dil asiirii[imprisonment] mein bhi aazad hai aazaadon ka
valvalon[enthusiasm] ke liye mumkin nahin zinda hona
gul ko paamaal[downtrodden] na kar laal-o-gauhar ke maalik
hai isse turaah-e-dastar-e-gariiban hona
hai mera zabt-e-junoon[self control] josh-e-junoon[uncontrolled frenzy se badhkar
nang hai mere liye chaak gareban hona


No comments:

Post a Comment

wel come