Monday, July 13, 2009

unknown

dayar-e-dil ki raat mein chirag-sa jal gaya
mila nahin toh kya hua veh shakal toh dikha gaya
vo dosti toh khair ab nasiib-e-dushmani hui
vo choti choti ranzishon ka lutf bhi chala gaya
judaiyon ke zakhm dard-e-zindgi ne bhar liye
tujhe bhi neend aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya
pukaarti hain fursatein kahan gayi veh sohbatein
zamiin nigal gayi unnhen ya aasman nigal gaya
yeh subah ki safidiyan yeh dophar ki zardiyan
ab aaiine mein dekhta hun, main kahan chala gaya
ye kis khushi ki reit par ghamon ko neend aa gayi
vo lehar kidhar gayi ye main kahan samaa gaya
gaye dinon ki laash par pade rahoge kab talak
amalkasho utho ki aftab sar pe aa gaya

No comments:

Post a Comment

wel come