Friday, July 24, 2009

chod diya


ghma-o-khushi ke dorahe pe la ke chod diya
ghazab kiya mujhe apna bana ke chod diya
gila na gaiir se mujhko na hai zamane se
nazar se apnon ne mujhko gira ke chod diya
dubo hi dete ya laate kisi kinare tak
yeh kya kiya mujhe dariya mein la ke chod diya
mere khuloos pe har lamha shak kiya tumne
mero waffa ko tamasha bana ke chod diya
main soz-e-ishq ki lazzat se aashna hi na thi
waffayen soyi hui thi jaga ke chod diya
kisi ne zilm kiye 'shamma' sada mujh par
hamesha maine usse muskura ke chod diya

No comments:

Post a Comment

wel come