Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

hamin se apni nava[awaaz] humkalam hoti rahi
ye teg apne lahu mein niyaam[miyan] hoti rahi
mukabil-e-saf-e-ada[line of enemy] jise kiya agaaz
vo jang apne hi dil mein tamaam hoti rahi
koi masiah na eefa-e-ahd[vachan poorti] ko pauhncha
bohat talaash pas-e-eqatl-e-aam hoti rahi
ye barhaman kya qaram vo ata-e-sheikh-e-haram
kabhi hayyat kabhi mai haram hoti rahi
jo kuch bhi ban na pada ‘faiz’ luut ke yaaro se
toh rehzano se dua-o-salaam hoti rahi

No comments:

Post a Comment

wel come