Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

kab tak dil ki khair manayen, kab tak raah dikhlaoge
kab tak chain ki mauhlat doge kab tak yaad na aaoge
beeta deed-umiid ka mausham, khaak udhti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka badal, kab barkha barsaoge
ahd-e-waffa ya tarq-e-muhbbat, jii chaho soa aap karo
apne bas ki baat hi kya hai, humse kya manvaoge
kisne wasl ka suraj dekha, kis par hizr ki raat dhali
gesuon wale kaun thay, innko kya jatlaoge
‘faiz’ dilon ke bhaag mein hai ghar basna bhi, luut jana bhi
tum iss husn ke lutf-o-karam par kitne din itraaoge

No comments:

Post a Comment

wel come