Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

vo buuton ne dale hain waswase ki dilon se khauff-e-khuda gaya
vo padi hair oz qayamaten ki khayal-e-roz-e-zaza [last day] gaya
jo nafs[saans] tha khaar-e-gulu[gale ka kaanta] bana, jo uthe toh haath lahu huye
vo nishaat-e-aah-e-sahar gayi, vo waqaar[partishta]-e-dast-e-dua gaya
na vo rang fasl-e-bahar ka, na ravish vo abr-e-bahar ki
jis ada se yaar thay aashna vo mijaaz-e-baad-e-saba gaya
jo talab pe ahd-e-vaffa kiya toh vo aabru-e-vaffa gayi
sar-e-aam jab huye muddai toh savaab-e-sidak-o-safa gaya
ab baadbaan ko teh rakho, abhi maztarib hai rukh-e-hawa
kisi raste mein hai muntzir vo sakoon jo aa ke chala gaya

No comments:

Post a Comment

wel come