Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

sunane ko bheed hai sar-e-mashhar[qaymat ka din] lagi hui
tohmat tumhare ishq ki hum par lagi hui
rindo ke dam se aatish-e-mai ke bagaiir bhi
hai maikade mein aag barabar lagi hui
aabad karke shehr-e-khamoshan hare k suu
kis khoj mein hai teg-e-sitamgar lagi hui
jeete thay yun toh pehle bhi hum jaan pe khelkar
bazi hai ab ke jaan se bhadkar lagi hui
‘lao toh qatlnama mera, main bhi dekh lun
kis kis ki muhar hai sar-e-mehzar[zalin ki talwar] lagi hui’
aakhir ko aaj apne lahu par hui tamaam
bazi miyaan-e-qatil-o khanjar lagi hui

No comments:

Post a Comment

wel come