Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

sharah[bakhaan]-e-bedardi-e-halat na hone paayi
ab ke bhi dil ki mudarat[respect] na hone paayi
phir vahi vaada jo ikraar na banana paaya
phir vahi baat jo isbaat[positive] na hone paayi
phir vo parwane jinhe izn[izazat]-e-shahadat na mila
phir vo shamm’aye ke jinhe raat na hone paayi
phir vahi jaan-ba-labi[jaan muh ko aana] lazzat-e-mai[sharab ki masti] se pehle
phir vo mehfil jo kharabaat[sharabio ki mehfil] na hone paayi
phir dam-e-deed rahe chashm-o-nazar deed talab
phir shab-e-wasl mulakat na hone paayi
phir vahan baab-e-asar jaaniye kab bandh hua
phir yahan khatam munazaat na hone paayi
‘faiz’ sar par jo har ik roz qayamat guzri
ek hi roz-e-mukafaat[badle ka din] na hone paaye

No comments:

Post a Comment

wel come