Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

aaj ki raat

aaj ki raat saaz-e-dard na chhed
dukh se bharpoor din tamam huye
aur kal ki khabar kise mallum
dosh-o-farda[tomorrow & future] ki mit chuki hain haduud
ho na ho ab sahar kise mallum
zindgi hech ! lekin aaj ki raat
ezdiyat[khuda ho jana] hai mumkin aaj ki raat
aaj ki raat saz-e-dard na chhed
ab na dauhraa fasana-haaye-alam[dukh ki kahani]
apni kismet pe sogvaar na ho
fikr-e-farda[kal ki fikr] utar de dil se
umar-e-rafta pe ashqbaar na ho
ahd-e-gham ki hikayetein[kahani] mat puuch
ho chuki sab shikiyatein mat puuch
aaj ki raat saaz-e-dard na chhed !

No comments:

Post a Comment

wel come