Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

tanhai

phir koi aaya dil-e-zaar[dukhi dil] !
nahin, koi nahin !
raahro[pathik] hoga, kahin aur chala jayega
dhal chuki raat, bikharne laga taaron ka gubaar[dhool]
ladkhadane lage aevaanon mein khawabida chirag
soa gayi raasta tak tak ke har ik rahguzar
ajnabi khaak ne dhundhla diye kadamon ke suraag
gul karo shamm’aye badha do mai-o-meena-o-ayyaag
apne bekhwab kiwadon ko muqaffal[tala lagana] kar lo
ab yahan koi nahin, koi nahin aayega

No comments:

Post a Comment

wel come