Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

jang thhehri hai koi khel nahin hai ye dil
dushman-e-jaan hain sabhi saare ke saare qaatil
ye kadi raat bhi, ye saaye bhi, tanhai bhi
dard aur jang mein kuch mel nahin hai ae dil
laao sulgao koi josh-o-gazab ka angaar
tesh ki aatish-e-zar’rar[aag] kahan hai laao
vo dehakta hua gulzaar kahan hai laao
jis mein garmi bhi hai harkat bhi, tavaanayi bhi
ho na ho apne qabile ka bhi koi lashkar
muntazir hoga andheron ki fasilon ke udhar
unnko sholon ke raz’z[veer-gatha] apna pata toh denge
khair hum tak von a pauhnche bhi sada toh denge
duur kitni hai abhi subah, bata toh denge

No comments:

Post a Comment

wel come