Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

aur kuch der mein jab phir mera tanha dil ko
fikr aa legi ki tanhai ka kya chara kare
dard aayega dabe-paanv, liye surkh chirag
vo jo ek dard dhadkata hai kahin dil se pare
shola-e-dard jo pehlu mein lapak uthega
dil ki diwar pe har naksh damak uthega
halka-e-zulf kahin, gosh-e-rukhsaar kahin
hizr ka dasht kahin, gulshan-e-didaar kahin
lutf ki baat kahin, pyar ka ikraar kahin
dil se phir hogi meri baat ki ae dil ae dil
ye jo mehboob bana hai teri tanahai ka
ye toh mehman hai ghadi bhar ka chala jayega
iss se kab teri museebat ka madawa hoga
mushtael ho ke abhi uthenge vehshi saaye
ye chala jayega reh jayenge baki saaye
raat bhar jinse tera khoon kharab hoga

No comments:

Post a Comment

wel come