Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

hum toh majboor-e-waffa hai

tujhko kitnon ka lahu chahiye ae arz-e-vatan
jot ere aariz-e-be-rang ko gulnaar kare
kitni aahon se kaleja tera thanda hoga
kitne aansu tere sehraon ko gulzar kare
tere aevaanon mein purje huye paiman kitne
kitne vaade jo na aasuda-e-ikarar huye
kitni aankhon ko nazar kha gayi badkhwahon ki
khwab kitne teri shehraho mein sangsaar huye
bala kashaan-e-muhbbat pe jo hua so hua
jo mujh pe guzri, mat uss se kaho, hua so hua
mabaada[kahin aisa na ho] ho koi zalim tera gariban-geer
lahu ke daag tu daman se dho-hua so hua
hum toh majboor-e-waffa hain, magar ae jaan-e-jahan
apne ushshak[chahne wale] se aise bhi koi karta hai
teri mehfil ko khuda rakhe abad tak qaayam
hum toh mehmaan hai ghadi bhar ke hamare kya hai !

No comments:

Post a Comment

wel come