Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

vayabka vajah-e-rabbka

lazim hai ki hum bhi dekhenge
vo din ki jiska vaada hai
jo loh-e-azal[pehle se likhi kismet] mein likha hai
jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaa[bhaari pahad]
rui ki tarah udd jayenge
hum mehkuumon[dalit] ke paanv-tale
jab dharti dhad dhad dhadkegi
aur ahl-e-hikam[satadhari] ke sar opper
jab bijli kad kad kadkegi
jab arz-e-khuda[khuda ki zamin] ke qaabe se
sab buut uthvaye jayenge
hum ahl-e-safa[khare log] mardood-e-haram
masnad pe bithaye jayenge
sab taaj uchhale jayenge
sab takht giraye jayenge
bas naam rahega allah ka
jo gayab bhi hai hazir bhi
jo manzar bhi hai naazir[viewer] bhi
utthega ‘anal haq’[main satya hun] ka naara
jo main bhi hun aur tum bhi ho
aur raz karegi khalq-e-khuda
jo main bhi hun aur tum bhi ho

No comments:

Post a Comment

wel come