Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

raqeeb se

aa ki vabasta hai uss husn ki yaadein tujhse
jisne iss dil ko parikhana bana rakha tha
jiski ulfat mein bhula rakhi thi duniya humne
dahar ko dahar ka afsana bana rakha hai
aashna hai tere qadmon se vo raahen jin par
usski madhosh jawani ne inayat ki hai
karwan guzre hain jinse ussi raa’ naayi ke
jiski inn ankhon ne besood ibadat ki hai
tujhse kheli hain vo mehboob hawayein jin mein
usske malbuus[cloths] ki afsurda[udas] mehak baqi hai
tujh pe bhi barsa hai uss baam mein mehtaab ka noor
jis mein beeti hui raaton ki kasak baqi hai
tune dekhi hai vo peshani[matha] vo rukhsar[gaal] vo hont
zindgi unnke tasvvur mein luuta di humne
tujhpe uthi hai vo khoi hui saahir aankhein
tujhko maalum hai kyun umar ganwa di humne
hum pe mushtarika hai ahsan gham-e-ulfat ke
itne ehsan ki ginvaaun toh ginva na sakun
humne iss ishq mein kya khoya hai kya sikha hai
zuz tere aur ko samjhaaun toh samjha na sakoon
azeezi seekhi garibon ki himayat seekhi
yaas-o-hirman ke dukh dard ke maani sikha
zerdasto ke masaaeib ko samjhna seekha
sard aahon ke rukh-e-zard ke maani seekhe
jab kahin baith ke rote hain vo bekas jinke
ashq aankhon mein bilakte huye soa jaate hain
naatvaanon[powerless] ke nivalon pe jhapat’te hain ukaab
baazu toole huye mandlaate huye aate hain
jab kabhi bikta hai bazaar mein majdoor ka gosht
shehraho[sadak] pe garibon ka lahu behata hai
ya koi tond ka badhta hua sailab liye
faqamaston ko duubone ke liye kehta hai
aag si seene mein reh reh ke ubalti hai na puuch
apne dil par mujhe qaabu hi nahin rehta hai

No comments:

Post a Comment

wel come