Monday, July 13, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naksh-e-maazi mite mite se
vo aazmaish dil-o-nazar ki, vo qurbaten si, vo faasle se
kabhi kabhi aarzu ke sahra mein aa ke rukte hain kaafile se
vo saari baatein lagaav ki si, vo saare unwaan wisal ke se
nigah-o-dil ko qaraar kaise nishat[kushi]-o-gham mein kabhi kahan ki
vo jab mile hain toh unnse har baar ki hai ulfat naye sire se
tumhi kaho rind-o-muhatsib mein hai aaj shab kaun fark aisa
ye aapke baithe hain maikade aaye hain maikade se

No comments:

Post a Comment

wel come