Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ghazal ke saaz uthao badi uddas hai raat
nava-e-‘meer’ sunao badi uddas hai raat
nava-e-dard mein ik zindgi toh hoti hai
nava-e-dard mein ik zindgi toh hoti hai
nava-e-dard sunao badi uddas hai raat
uddasiyon ke zo humraz-o-humnafas thay kabhi
unnhe na dil se bhulao badi uddas hai raat
jo ho sake toh idhar ki bhi raah bhool pado
sanam-kade ki hawaon badi uddas hai raat
kahen na tumse toh phir aur za ke kis se kahen
siyah zulf ke saayo badi uddas hai raat
pada hai saaya-e-gham jab hayyat-e-insan par
vo dastan bhi sunao badi uddas hai raat
abhi toh zikr-e-sahar doston hai door ki baat
abhi toh dekhte jaao badi uddas hai raat
suna hai pehle bhi aise mein bhujh gaye hain chirag
dilo ki khair manao badi uddas hai raat
diye raho yun hi kuch aur der haath mein haath
ab na paas se jaao badi uddas hai raat
koi shumaar bhi rakhti hain zulmaton ki teh’en
batao gham ki ghatao badi uddas hai raat
koi keho ye khayalon se aur khwabon se
dilon se door na jaao badi uddas hai raat
karo jo gaur toh radd-o-kubool yaksaan hain
dilon se nikli duaao badi uddas hai raat
ygaanagi ho ki diwangi ho sab dhoka
suno sab apne parao badi uddas hai raat
samet lo ke bade kaam ki hai daulat-e-gham
isse yunhi na ganvao badi uddas hai raat
base huye hain kisi ke jo lams-e-rangin se
vo bistare na lagao badi uddas hai raat
issi khandhar mein kahin kuch diye hai toote huye
innhi se kaam chalo badi uddas hai raat
liye huye hain jo beete ghamon ke afsane
vo jindgi hi bulao badi uddas hai raat
bharam nashato-tarb[khushi ke geet] ken a aur khul jaayen
mai-o-ayyag[payala] badhao badhi uddas hai raat
do aatsha na bana de usse nava-e-‘firaq’
ye saaz-e-gham na sunao badi uddas hai raat

No comments:

Post a Comment

wel come