Monday, July 13, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

jo baat hai hadh se badh gayi hai
waaiz ke bhi kitni chadh gayi hai
hum toh kahenge teri shokhi
dabne se kuch aur badh gayi hai
har shai ba naseem-e-lams-e-nazuk[touch of wind]
barg-e-gul-e-tar se badh gayi hai
jab-jab vo nazar uthi mere sar
lakhon ilzaam madh gayi hai
tujh par jo padi hai ittfaagan
har aankh doord[dua ka mantr] padh gayi hai
sunte hai kip echo-kham nikal kar
uss zulf ki raat badh gayi hai
jab-jab aaya hai naam mera
usski tevari-si chadh gayi hai
ab muft na denge dil hum apna
har cheez ki qadar badh gayi hai
jab mujhse mili ‘firaq’ vo aankh
bar baar ik baat gadh gayi hai

No comments:

Post a Comment

wel come